India's Blues
This is the conversation I had with the driver of the auto rickshaw I was travelling in:
Me (M): Aaj aapne auto kitne baje shuru ki?
Auto Rickshaw Driver (A): 5 baje.
M: Subah nikle the?
A: Haan, lekin dus baje gaadi band kar di
M: Achha, kya hua tha?
A: Sahab faltu mein jokham kaun lega.
M: Kyun aapko pakda kya gundon ne?
A: Nahin, par baaki driver keh rahe the ki raste pe rok ke bol rahe the..."Ghar jaao, nahin toh auto ke saath saath tumhe bhi jala denge"
M: Aur TV pe BJP-Shiv Sena waale keh rahe hain ki logon ne mann se bandh ka samarthan kiya hai. Sab bakwaas hai. Mujhe bhi aaj office jaana tha par subah koi auto hi nahin mil rahi thi.
A: Sa'ab aapka toh theek hai, bahut logon ke paas ek din kaam nahin karne ka matlab hai us din bookha sona. Main bahut logon ko jaanta hun jo vada paav pe din guzaar te hain.
M: Hmmmm.
A: Aisa nahin hai ki humein samarthan nahin karna. Mehengai toh sabko chubti hai. Par hum dhandha bandh nahin kar sakte.
M: Sarkaar keh rahi thi ki logon ko dara dhamka ke bandh kiya jaa raha hai jabki log samajhte hai yeah petrol ke daamon mein badotri zaroori thi.
A: Sab samajh aata hai humein. Sab chor hain. Humare desh mein bahar se dushmanon ki zaroorat nahin, yeah sab politician milke kha jaayenge.
M: Wohi, samajh nahin aata vote de bhi toh kisko.
A: Sa'ab koi toh jeetega, aur phir se wohi hoga.
The common man is disgruntled with the state of governance. He is not stupid. He is only losing faith in the system and is worried about the lack of options. Is there any hope of India being led by corruption free politicians who truly believe in progressive governance without violating the values that formed the foundation of the nation?

Comments